Wednesday, 29 January 2014

Barso ke baad Mulaqat

Aaj unko dekha mene barso ke baad
Waqt jese thamsa gya mera barso ke baad

Najro se unke najar mili  barso ke baad
Fir wahi nigahe dikhi barso ke baad
Aaj manzil thi samne mere magar rahe kuchh juda dikhi barso ke baad
Kal jo apni thi koi wo aaj gair dikhi barso ke baad

Jise dekh saans chalti thi kabhi wo ruk si gayi barso ke baad
Bin piye chad gai jaise mai wo maikash ko dekh kar barso ke baad
Humne Kadam ko hamare bahot sambhala barso ke baad

Hum chal to diye muh mod ke magar aaj dil nahi mana barso ke baad
Aalam hi kuchh ajib tha,me haste haste ro pda aaj barso ke baad

Wo sochte rahe ye chahta he kya aaj bhi muje barso ke baad
Humne kha jalim jub chahat hi nahi tu kyu dekhti he muje barso ke baad

Paya tune bhi nahi kuchh,aaj bhi barso ke baad
Najaro ke meri mohtaj tu kal bhi thi aaj bhi he barso ke baad
Jo mera ho nahi saka wo kisi aur ka kya hoga barso ke baad

Aaj unko dekha mene barso ke baad
Waqt jese thamsa gya mera barso ke baad

From
Ghayal-Vpul












No comments:

Post a Comment