Thursday, 27 February 2014

Kyu Hota He....

Kyu Hota He

Na jane Ye Ishq ka Dariya Aag ka Kyu Hota He.
Terna Aata He Jis Ko Usko Bhi Isme Dubna Kyu Hota He.

Her Safar Me Teri Manzil Hoti He Samne Fir Bhi Der Tak Chalna Kyu Hota He.
He Musafir Tu Bhi Is Kaarwan Me,Fir Bhi Tu Bheed Me Tanha Kyu Hota He.

He Chikh Tere Andar Bhi Dabi Huyi,Fir Bhi Tu Her Waqt Khamosh Kyu Hota He.
Roz Roz Marta He Tu,Fir Bhi Jub Dekhu Tuje Tu Hasta Kyu Hota He.

 He Maikhane Bahot  Is Saher Me, Fir Bhi Jo Utarata Hi Nahi Wo Nasha Teri Aankho Se Kyu Hota He.
He Deewano Bahot Tere Mana Mene,Fir Bhi Aashiq To Aashiq Hi Hota He.

He Chand Lamhe Khushi Ke,Fir Bhi Ye Gam Bhi Bahot Zaruri Hota He.
Kyunki Mannat Puri Ho Is Insaan Ki To Hi Yha Khuda  Khuda Hota He.

Na jane Ye Ishq Ka Dariya Aag Ka Kyu Hota He.

VIPUL


क्यु  होता हे। 

ना जाने ये इश्क़ का दरिया आग का क्यु होता हे। 
तैरना आता हे जिसको उसको भी इसमें डूबना क्युँ होता हे। 

हर सफ़र में तेरी मंज़िल होती हे सामने ,फिर भी देर तक चलना क्यु होता हे। 
हे मुसाफिर तू भी इस कारवाँ में ,फिर भी तु भीड़ में तनहा क्यु होता हे। 

हे चीख तेरे अंदर भी दबी हुई ,फिर भी तू हर वक़्त खामोश क्यु होता हे। 
रोज़ रोज़ मरता हे तू ,फिर भी जब देखु तू हसता क्यु होता हे। 

हे मैखाने बहोत इस सहेर में,फिर भी जो उतरता नहीं वो नशा तेरी आखों से क्यु होता हे। 
हे दीवाने बहोत तेरे माना मेने ,फिर भी आशिक़ तो आशिक़ ही होता हे। 

हे चन्द लम्हे ख़ुशी के ,फिर भी ये गम भी बहोत जरुरी होता हे। 
क्यूंकि मन्नत पूरी हो इंसान कि  तो ही यहा खुदा खुदा होता हे। 

ना जाने ये इश्क़ का दरिया आग का क्यु  होता हे। 

विपुल

 


 

Sunday, 9 February 2014

Meri Bahen ki Shaadi he

Meri Bahen Ki Shaadi He.

Wo Bachpan Ki Tasveer Dhundhali Si Aankhon Me Aaj Ubhar Si Jati He.
Jub Se Pta Chala He Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

Wo Bachpan Ke Khilone,Wo Khel Gudegudiyon Ka,
Wo Masum Se Jagde,Wo Daur Bhi Kya Tha Bachpan Ke Sapno Ka,
Wo Lamhe Wo Manjar,
Wo Yaado Ke Samundar Me Fir Se Laher Si Aa Jati He.
Jub Se Pta Chala He Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

Pta Nahi Tha Muj Ko,Shararate Samajdari Me Badal Si Jayegi.
Jo Leti Thi Kabhi Tohfa Mujse,
Wo Sub Kuchh Chhodkar Kahi Dur Chali Jayengi.
Aaj Kalai Ko Bhi Meri Rakhi Ki Bahot Yaad Aati He.
Jub Se Pta Chala He Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

Waqt Ki Surat Kesi Badal Si Jati He.
Hath Pakad Ke Chalna Shikhaya
Us Hath Ko Chhodne Ki Bhi Dhadi Aati He.
In Khushiyo Ke Shor Me Maa Ki Khamoshi Bahot Kuchh Bol Jati He.
Jub Se Pta Chala He Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

Duniya Ka Dastur He,Hume Bhi Nibhana Jarur He.
Mahol Aaya He Khushiyo Ka Nachna Gana Bhi Jarur He.
Mausi Aur Fufi Ne Kar Li He Teyariya
Her Rang Her Bhat Ki Lai He Wo Saadiya
Hamare Yha To Ghar Nahi Puri Galiya Sajai Jati He.
Jub Se Pta Chala He Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

Bina Aap Ke Shaam Andhuri He,
Bahen Meri He Magar Aap Ka Aana Bhi Jaruri He.
Nyota Nahi Are Dil Se Mene Aap Ko Aawaj Lagai He.
Mere Hathon Se Nahi Chand Taro Se Mene Doli Sajay He.

Bulate To Sub He,Per Hamare Yha Kuchh Is Tarah Khushiyaa Manai Jati He.
Kyunki,
Aana Jarur Chand Roj Baad Mere Bahen Ki Shaadi He.

From
Ghayal-Vpul